Notice: Function _load_textdomain_just_in_time was called incorrectly. Translation loading for the foxiz-core domain was triggered too early. This is usually an indicator for some code in the plugin or theme running too early. Translations should be loaded at the init action or later. Please see Debugging in WordPress for more information. (This message was added in version 6.7.0.) in /home/dreports/public_html/wp-includes/functions.php on line 6121

Notice: Function _load_textdomain_just_in_time was called incorrectly. Translation loading for the fast-indexing-api domain was triggered too early. This is usually an indicator for some code in the plugin or theme running too early. Translations should be loaded at the init action or later. Please see Debugging in WordPress for more information. (This message was added in version 6.7.0.) in /home/dreports/public_html/wp-includes/functions.php on line 6121

Notice: Function _load_textdomain_just_in_time was called incorrectly. Translation loading for the rank-math domain was triggered too early. This is usually an indicator for some code in the plugin or theme running too early. Translations should be loaded at the init action or later. Please see Debugging in WordPress for more information. (This message was added in version 6.7.0.) in /home/dreports/public_html/wp-includes/functions.php on line 6121
Shabe baraat magfirat ki raat hai

Shabe baraat magfirat ki raat hai,roza aur namaz

Sameer Ur Rehman
4 Min Read

Rasoolullah صلى الله عليه وسلم ne irshaad farmaaya : Allah Ta’ala pandrahween Sha’baan ki raat ko aasmaane dunya par nuzool farmaata hai aur qabeela-e-kalb ki bakriyon ke baalon se ziyaada taadaad mein logon ki magfirat farmaata hai.

Note : Arab mein qabeela-e-kalb ke paas bahut saari bakriyaan thi, us ki misaal di gayi hai.

Shabe Baraat ki badi fazeelat hai, Magrib baad hi sab apni apni ibaadat mein lag jaayein, nafl namaazein padhein, Qur’aan ki tilaawat aur zikr wa tasbeeh ka ehtimaam karein, duaayein maangein, apne gunaahon se tauba karein. Baaz log baraaye naam ibaadat kar ke baaqi raat baazaaron, sadkon, hotelon ka chakkar kaatne aur fuzool kaamon mein zaaye’ kar dete hain aur kuch log sirf jaag kar yeh raat guzaar dete hain, Hadees mein aata hai ke bahot se raat mein jaag kar ibaadat karne waalon ko raat mein jaagne ki takleef aur pareshaani ke alaawa kuch bhi haasil nahi hota.

[Ibne Maaja : 1690, Abu Hurairah ﷜]

Allah Ta’ala humein is raat ki qadar karne aur ibaadat karne ki taufeeq ata farmaaye. Aameen

Salaatut Tasbeeh :

Fazeelat : Rasoolullah صلى الله عليه وسلم ne apne chacha Hazrat Abbas  ko salaatut tasbeeh padhne se muta’lliq farmaaya: Agar aap ke gunaah aalij maidaan ki ret ke baraabar honge, to bhi Allah unhein bakhsh dega.

Note : “Aalij” arab mein ek ilaaqa hai, jahaan meelon tak ret phaili huwi hoti hai.

Tarteeb : Salaatut tasbeeh ki 4 rakaat nafl

namaaz padhein, jis mein yeh dua :

Sub-haanallaahi wal hamdu lillaahi
walaa ilaaha illallaahu wallaahu akbar

kab aur kitni martaba padhna hai? us ki tarteeb neeche di gayi hai.


Ayyaame beez aur 15 Sha’baan ka roza :

Rasoolullah صلى الله عليه وسلم islaami maheene ki har 13, 14 aur 15 taareekh ko nafli roza rakha karte the aur Sahaaba-e-kiraam ﷢ ko bhi is ki targeeb dete the. Chunaanche Hazrat Qataada bin Milhaan ﷜ kehte hain ke Rasoolullah صلى الله عليه وسلم humein Ayyaame Beez yaani 13, 14 aur 15taareekhon mein roze rakhne ka hukm dete huwe farmaate ke yeh poore saal roze Is liye agar koyi Shaabaan ki 13, 14 aur 15 taareekh (17, 18, 19 March 2022) ko roza rakhta hai, to us ko is sunnat par amal karne ke saath 15 Shaabaan ke roze ka sawaab bhi mil jaayega.

Aur agar koyi 3 roze nahi rakh sakta, to sirf 15 Shaabaan (19 March 2022) ka roza rakhe, yeh roza rakhna mustahab hai. Chunaanche ek hadees mein Rasoolullah صلى الله عليه وسلم ne farmaaya : 15 Shaabaan ki raat ko qayaam
(ibaadat) karo aur pandraween ke din meinroza rakho.

rakhne ke baraabar hai.

Is liye agar koyi Shaabaan ki 13, 14 aur 15 taareekh (17, 18, 19 March 2022) ko roza rakhta hai, to us ko is sunnat par amal karne ke saath 15 Shaabaan ke roze ka sawaab bhi mil jaayega.

Aur agar koyi 3 roze nahi rakh sakta, to sirf  15 Shaabaan (19 March 2022) ka roza rakhe, yeh roza rakhna mustahab hai. Chunaanche ek hadees mein Rasoolullah صلى الله عليه وسلم ne farmaaya : 15 Shaabaan ki raat ko qayaam (ibaadat) karo aur pandraween ke din meinroza rakho.

(Ibne Maaja : 1388, Ali ﷜]

Aur agar koyi shakhs sehat ki kamzori ya deeni wa dunyawi mashgooliyon ki wajah se yeh roze nahi rakh paata, to koyi gunaah ki baat nahi.

 

Share This Article
Follow:
Editor - Dainik Reporters http://www.dainikreporters.com/